YehMeriKahani - Sapna ki duniya

 Namaskar,

Jindagi ne mujhe itna sikha dia in 4-5 saalon ne ki mera vayaktitv hi badal dia . Lekin is khat , ji haan khat wahi kagaz ke panno par likhe jane wale khat hi kahungi main inhe, jinme se wahi apnapan mehsoos ho jo pehle kisi jamane mein hua karta tha . Main janti hun aaj kal ke video ke jamane mein shayad hi koi in khaton ka ahsas kar paye , lekin main yeh bhi janti hun ki aaj bhi woh rooh jinda hain jinhe inhi kahaton se lutf ata hai . Yeh mere khaton ki duniya mere unhi doston ke lie hai .


To lijiye shuru hain meri Kahani , hasti khelti khil-khilati mein , jo kabhi romantic movie dkhkr usi main kho jati thi, jisse log dadi aama ki tarah salah lene aate the . Jo ghar mein sabse choti hote hue bhi sabse badi ka rutba rakhti thi.Jisse sahi aur galat ke lie awaaz dena na jane bachpan se khud hi kaise aa gya tha . Jo yeh samajhti thi ki duniya ko aur duniya ke logo ko usse behtar koi nahi janta . Jisse lagta tha usne apne hisse ke sabhi gumm jhel lie hai . Lekin usse nahi pata tha ki yeh to jindagi ki shuruwat hai bas , gumm uske hisse ke to abhi shuru bhi nahi hue the .

Apne aap ko ladkon ki tarah ya barabar samjhne wali mein shayad sapnon ki duniya mein hi thi....



Jo roti thi lekin akele mein sirf apne papa ko yadd karke hi usse 3-4 saal ki umar mein hi chod kar chale gye the . Lekin isko unki kami nahi thi kabhi kyuki iski ma bhaiyon ne woh kami mehsoos nahi hone di bas jab kabhi kisi ke papa school mein aate the to uska bhi fil hota tha ki mere papa kahan gye pata nahi jabki woh janti thi ki woh bhagwan ke pass hai lekin har uss massimo chote bache ki tarah usse bhi dil se feel ho Jata tha. 

Lekin issi dukh ko , ya papa ki kami ko woh apni jindagi ka sabse bada dukh manti aur sochti this ki papa nahi to kya hua I have God for me as my father who will always listen to me . Shayad bachpan ahsa hi hota hai. 

Comments