Posts

Showing posts from January, 2021

YehMeriKahani - Pyaar

 Namaskar, Maine jindagi mein hamesha smjha tha ki pyar ek sapno jaisa hai , jo chere par ek muskurahat le aata hai . Lekin yeh nahi pata tha ki yeh muskurahat sirf kuch dino ki hoti hai baki sirf ek chalwa hai . Ho sakta hai meri jindagi ka yeh tajurba apka na ho lekin haan yeh meri Kahani hai jiska sach yahi tha .  Mein in khaton dwara apne jindagi ko jeena aur gamon ko batna chahti hun , aajkal ki duniya mein sab khush hi khush nazar ata hai lekin kya woh sach hota hai , ho bhi sakta hai aur nahi bhi . Mera anubhav nahi ka tha .  Pyaar mujhe bhi hua kai bar ek attitude wala , kayi bar  kisi ke ache lagne wala , shayad woh pyaar nahi just ek achi feeling thi kisi ke lie . Kabhi sahayd kisi ka chehra bha jata tha , kabhi kisi ki personality impress kar jati thi. Aur choti si main use shadi ka bandan samaj jati thi. Attitude ki dukan thi main . Sahayd hi koi ahsa tha jo mujhe nahi pasand karta tha aur iss baat par andar hi andar mein fakr mehsoos karti thi. Haan leki...

YehMeriKahani - Sapna ki duniya

 Namaskar, Jindagi ne mujhe itna sikha dia in 4-5 saalon ne ki mera vayaktitv hi badal dia . Lekin is khat , ji haan khat wahi kagaz ke panno par likhe jane wale khat hi kahungi main inhe, jinme se wahi apnapan mehsoos ho jo pehle kisi jamane mein hua karta tha . Main janti hun aaj kal ke video ke jamane mein shayad hi koi in khaton ka ahsas kar paye , lekin main yeh bhi janti hun ki aaj bhi woh rooh jinda hain jinhe inhi kahaton se lutf ata hai . Yeh mere khaton ki duniya mere unhi doston ke lie hai . To lijiye shuru hain meri Kahani , hasti khelti khil-khilati mein , jo kabhi romantic movie dkhkr usi main kho jati thi, jisse log dadi aama ki tarah salah lene aate the . Jo ghar mein sabse choti hote hue bhi sabse badi ka rutba rakhti thi.Jisse sahi aur galat ke lie awaaz dena na jane bachpan se khud hi kaise aa gya tha . Jo yeh samajhti thi ki duniya ko aur duniya ke logo ko usse behtar koi nahi janta . Jisse lagta tha usne apne hisse ke sabhi gumm jhel lie hai . Lekin usse nahi p...